Thursday, September 4, 2008

Kahani


Ek kahani hai pyari si,
Zara lagti hai nyari si;
Imagination uska dilo deemagh me karte karte,
Sab bhool kar bus kahani sunte sunte;
Hum bhi usme shumaar ho jate hain,
Mano hum bhi usi khayal me kho jate hain;
Kabhi wapas ate hain kahani se,
Kabhi door jate hain haqeeqat se;
Zara charpai se utar ke dekho to,
Mano udan khatole pe sawari thi apni;
Jalti mombattiyon ki taraf nazar phero to,
Laghta hai kisi mehel me bisat ho apni;
Charo taraf andhera hai zara dekho to,
Jagte armanon ko kahani ke sang age badhne do;
Shehzade to ab hum hain chalo rehne bhi do,
Qute princess ki talash hame karne to do;
Us mahal ka pata batao to zara,
Jahan rehti ho pyari si princess bhi bhala;
Lekin kahani me to twist zaroori hai Shehzade,
Use pana itna aasan nahi hai mere ladle;
Bahut mehnat karni hogi apko,
Jo pana hai pyaari si princess apko;
Lekin usse Pehle kahani se rajkumar,
Wapas a gaye phir se janab;
Is baar princess nahi mummy thin samne,
Dhoodh pee lo beta phir jana princess ko lane;
Raat hoti gayi aur dil me toofan sa tha,
Layen kisi tarah princess ko ye armaan bhi tha;
Akhon me princess ko pane ke khwab ke sath,
Neendiya ne diya uska khoob sara sath;
Ab imagination ne apna rukh badla,
Unreality se khabon ki taraf apna steering moda;
Dil me tamannaon ka khumar jagne laga,
Gradually rajkumar ko sapna nazar ane laga;
Sapne me wo le ke uthe talwar,
Khud ko samajh ke bahut hi balwaan;
Rukh kiya apna khatole ki taraf,
Aur ja pahunche miss princess tak be khatak;
Princess bhi soyi hui thi neendon me,
Naram se bistar pe gum thi khabon me;
Khabon me uske bhi tha rajkumar,
A raha use lene udan khatole me sawar;
Jagaya usne pyari si bulbul ko dheeme se,
Ao jao ki yehi moment hain mohabbat ke;
Sawar hoke dono ud chale us sone ki chidiya pe,
Kabhi na khatam hone wali khabon ki duniya me;
Ab wo sath they aur nahi liktey they ek dusre ko love letter,
And prince and princess lived happily ever after

No comments: