Thursday, October 14, 2010

Jab Bhi.......



Jab bhi tum koi mod mudna,

Sochna mujhey,

Ki kaisey mila tha tumko,

Aisey hi kisi mod pey,

Ungliyon ko ungliyon me samet ke,

Ek aisey hi kisi andaz se,

Tumhara naam liya tha,

Ek khamoshi bharey awaz se,

Kabhi has ke, kabhi ro ke,

Kabhi gussey se, kabhi muskura ke,

Hum chaltey gai sath sath me,

Aur fir do mod a gai,

Dekha to who ek hi sadak ko miltey they,

Ek pe Aamon ke darakht aur ek pe Imli ke,

Hum alag alag modon pe mud gai,

Socha ki agey to milengey sahi,

Mausam guzrey,raat aur din bhi,

Aam aur Imli darakhton se chaley gai,

Abhi bhi mai us mod pe khada hun,

Kuch pakey se aam le ke,

Aur kuch kach-chey amiyen bhi,

Dhundhta hoon tumhe,

Kuch narazgi aur kuch besabri se,

Dhundhla hota hai fir saaf ho jata hai,

Wo mod nahi mudta wahin reh jata hai,

Jab Bhi tum koi mod mudna,

Sochna mujhe,

Ki kaisey mila tha tumko,

Aisey hi kisi mod pe.